chashm-e-khuban khamushi mein bhi nawa-pardaz hai surma to kahwe ki dud-e-shoala-e-awaz hai paikar-e-ushshaq saz-e-tala-e-na-saz hai nala goya gardish-e-saiyyara ki aawaz hai dast-gah-e-dida-e-khun-bar-e-majnun dekhna yak-bayaban jalwa-e-gul farsh-e-pa-andaz hai chashm-e-khuban mai-farosh-e-nashshah-zar-e-naz hai surma goya mauj-e-dud-e-shola-e-awaz hai hai sarir-e-khama rezish-ha-e-istiqbaal-e-naz nama khud paigham ko baal-o-par-e-parwaz hai sar-nawisht-e-iztirab-anjami-e-ulfat na puchh nal-e-khama khar-khar-e-khatir-e-aghaz hai shokhi-e-izhaar ghair-az-wahshat-e-majnun nahin laila-e-mani 'asad' mahmil-nashin-e-raaz hai naghma hai kanon mein us ke nala-e-murgh-e-asir rishta-e-pa yan nawa-saman-e-band-e-saz hai sharm hai tarz-e-talash-e-intikhab-e-yak-nigah iztirab-e-chashm barpa dokhta-ghammaz hai