gardish-e-charkh se qayam nahin subh ghar mein hun main to sham nahin kabhi to munh se boliye sahab be-dahan ho to kuchh kalam nahin jaan-ba-lab hun firaq-dil-bar mein subh jita raha to sham nahin kis ke zulfon ke baal bikhre hain mere nabzon mein intizam nahin roz-o-shab zikr-e-zulf-o-arif hai ye kahani kabhi tamam nahin kya raqibon se main jihad karun mere hamrah wo imam nahin tera diwana mar gaya shayad aaj galiyon mein azhdaham nahin hijr mein ye sharab hai tezab hath par aabla hai jam nahin kya samajh kar ye naz karte hain amradon ka koi ghulam nahin walwale the shabab tak apne ab hamari wo dhum-dham nahin is taraf se hain sajde par sajde us taraf se kabhi salam nahin dil ko le kar alag hue aise ki kabhi tum ko hum se kaam nahin mauj dariya-e-paemali hai us jafakar ka khiram nahin bosa le kar maza mila mujh ko hanzal us ka zaqan hai aam nahin kis ke bal par wo shokh hai maghrur khat-e-shab-rang fauj-e-sham nahin 'bahr' bahke hue hain ahl-e-dil nashsha-e-ab-e-zar mudam nahin