chashm-e-mai-gun wahan sharab laziz dil-e-sozan yahan kabab laziz lab-e-shirin ke bose pae hain hum ne dekha hai aaj khwab laziz dahan-e-zakhm honth chatte hain us ki talwar mein hai aab laziz kahan talkhi kahan ye mitha-pan is araq se hai kab gulab laziz us ke seb-e-zaqan ke aashiq hain hoga mahshar ke din hisab laziz mithi baaton mein wasl ka inkar hai nae tarah ka jawab laziz kaise shane ke dant padte hain hai jo wo zulf mushk-e-nab laziz turshiyan kis maze maze ki hain hai hamein yar ka shabab laziz mar na jae sanam mariz-e-hijr sharbat-e-wasl de shitab laziz ho sakega na wasf-e-seb-e-zaqan ai 'sakhi' hai ye be-hisab laziz