bayabanon pe zindanon pe viranon pe kya guzri jahan-e-hosh mein aae to diwanon pe kya guzri dikhaun tujh ko manzar kya gulon ki paemali ka chaman se puchh le nau-khez armanon pe kya guzri bahaar aae to khud hi lala o nargis bata denge khizan ke daur mein dilkash gulistanon pe kya guzri nishan-e-shama-e-mahfil hai na khak-e-ahl-e-mahfil hai sahar ab puchhti hai raat parwanon pe kya guzri hamara hi safina tere tufanon ka bais tha hamare dubne ke baad tufanon pe kya guzri main aksar sochta hun 'wajd' un ki mehrbani se ye kuchh guzri hai apnon par to beganon pe kya guzri