chashm-e-mast-e-saqi se dil hua KHarab-abaad

chashm-e-mast-e-saqi se dil hua kharab-abaad
mai-kada hai aur masti ab to harche baada-baad

mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbaad
husn ne kiya be-khud ishq ne kiya aazad

mera tuta-phuta dil ban gaya watan us ka
be-watan tha aawara ishq-e-khanuma-barbaad

masti-e-ana laila kar-e-ishq-e-majnun hai
kaif-e-wasl-e-shirin hai naqsh-e-tesha-e-farhad

jism-o-jaan ka ilhaq wajh-e-ranj-o-rahat hai
band-e-shadi-o-gham se jaan-e-pak hai aazad

shauq aur tanaffur mein raaz us ka pinhan hai
hai koi agar dil-gir hai agar koi dil-shad

ghaflat aur nadani wajh-e-shauq-o-nafrat hai
hai jo ain-e-irfan mein be-sabaat-o-be-buniyaad

band-e-ranj-o-rahat se fikr-e-shauq-o-nafrat se
qaid-e-jehl-o-ghaflat se khud-shanas hai aazad

jalwa us ka ai 'sahir' chashm-e-pak-bin se dekh
husn-e-la-yazli se shash-jahat hain aabaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close