uTha ke dar se sar-e-rah biTha diya hai mujhe

utha ke dar se sar-e-rah bitha diya hai mujhe
mere sawal se pagal bana diya hai mujhe

kuchh is tarah se kaha mujh se baithne ke liye
ki jaise bazm se us ne utha diya hai mujhe

na khud hi chain se baithe na mujh ko baithne de
mere khuda ne sitara bhi kya diya hai mujhe

meri samai na sahra mein hai na ghar mein hai
naya ye muzhda-e-wahshat suna diya hai mujhe

main apne hijr mein tha mubtala azal se magar
tere visal ne mujh se mila diya hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close