chashm-e-nam-dida sahi khitta-e-shadab mera raat ki raat mahakta hai gul-e-khwab mera ab tahi-rakht bhi ho kar main tahi-rakht nahin khwahish-e-baadiya-paimai hai asbab mera sabt kar aur koi mohr mere honton par qufl-e-abjad se nahin band hua bab mera sahil-e-chashm pe kapdon ko sukhane wale tu ne kab par kiya tha dil-e-payab mera nam mera to kiya us ne qalam-zad lekin daftar-e-ishq se kharij na hua bab mera jis qadar aai farakhi mere dil mein 'tabish' utna hi tang hua halqa-e-ahbab mera