jab bhi wo aasman-janab aae saya karta hua sahab aae harf mitne lage hain zehnon se phir koi sahib-e-kitab aae jab ko dube hue zamana hua yaad kuchh aise aaftab aae zindagi bahr-e-be-karan hi sahi hum to bas surat-e-habab aae jaise khali makan pe dastak ho dar-o-diwar se jawab aae waraq-e-zindagi palatte rahe kaamrani ka koi bab aae sare mazmun mohabbaton par hon kash aisa koi nisab aae meri naraazgi thahar na saki hath mein le ke wo gulab aae