chashm-e-nam le ke chalo qalb-e-tapan le ke chalo ek patthar ke liye shoala-e-jaan le ke chalo shayad us ko bhi shab-e-hijr nazar aa jae apni palkon pe charaghon ka dhuan le ke chalo us ko chaha hai to phir sang-e-malamat bhi chuno phul tode hain to ab koh-e-giran le ke chalo be-haqiqat hain wahan lal-o-gohar shams-o-qamar dushman-e-jaan ke liye tohfa-e-jaan le ke chalo ek bar aur use dekh lun marte marte mera qatil hai kahan mujh ko wahan le ke chalo us ke honton se chura lo koi rangin sa khwab us ki zulfon se koi abr-e-rawan le ke chalo 'nur' dar-pesh hai ab tum ko khizaon ka safar us ke aariz se bahaaron ka saman le ke chalo