ab ke ajab safar pe nikalna pada mujhe rahen kisi ke nam thin chalna pada mujhe tarik shab ne sare sitare bujha diye main subh ka charagh tha jalna pada mujhe yaran-e-dasht raunaq-e-bazar ban gae sunsan raston pe nikalna pada mujhe har ahl-e-anjuman ki zarurat thi raushni main sham-e-anjuman tha pighalna pada mujhe zalim bahut hai shiddat-e-ehsas-e-agahi akasr parai aag mein jalna pada mujhe rahon ke pech-o-kham mein bala ke tilism the chalna bada muhaal tha chalna pada mujhe aasan nahin tha zulmat-e-shab se muqabla sar par jala ke aag pighalna pada mujhe