chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe maut insan ko lazim hai sada yaad rahe mera khun hai tere kuche mein baha yaad rahe ye baha wo nahin jis ka na baha yaad rahe kushta-e-zulf ke marqad pe tu ai laila-wash bed-e-majnun hi laga ta-ki pata yaad rahe khaksari hai ajab wasf ki jun jun ho siwa ho safa aur dil-e-ahl-e-safa yaad rahe ho ye labbaik-e-haram ya ye azan-e-masjid mai-kasho qulqul-e-mina ki sada yaad rahe yaad us wada-faramosh ne ghairon se badi yaad kuchh kam to na thi aur siwa yaad rahe khat bhi likhte hain to lete hain khatai kaghaz dekhiye kab tak unhen meri khata yaad rahe do waraq mein kaf-e-hasrat ke do aalam ka hai ilm sabaq-e-ishq agar tujh ko dila yaad rahe qatl-e-ashiq pe kamar bandhi hai ai dil us ne par khuda hai ki use nam mera yaad rahe taer-e-qibla-numa ban ke kaha dil ne mujhe ki tadap kar yun hi mar jaega ja yaad rahe jab ye din-dar hain duniya ki namazen padhte kash us waqt unhen nam-e-khuda yaad rahe hum pe sau bar jafa ho to rakho ek na yaad bhul kar bhi kabhi howe to wafa yaad rahe mahw itna bhi na ho ishq-e-butan mein ai 'zauq' chahiye bande ko har waqt khuda yaad rahe