khwab ko surat-e-haalat bana jata hai dil ko aana ho to be-waqt bhi aa jata hai ho ke naraaz na jae koi mehman warna ghar se wasf-e-dar-o-diwar chala jata hai aankh se aankh milana to sukhan mat karna tok dene se kahani ka maza jata hai thik kahte ho ki aaseb-zada hota hai ishq mere andar bhi koi shor macha jata hai pyar aa jae to phir pyar hi kije warna jis tarah aata hai us tarah chala jata hai main to har faisla hi karta hun apne haq mein par koi adl ki zanjir hila jata hai umr-e-rafta mein tujhe yaad kahan karta hun bas zara yun hi tera dhyan sa aa jata hai koi pagal mujhe kahta hai to kya hai 'mohsin' ek pagal ko to pagal hi kaha jata hai