chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal jaun main sab badal jae jo manzar se nikal jaun main zindagi mujh pe musallat hai kisi dar ki tarah kaise ji paun jo is dar se nikal jaun main main yahan qaid hun murat ki tarah sang-tarash tu agar chahe to patthar se nikal jaun main phir to aage kai nadiyan kai chashme honge bas shab-o-roz ke asthar se nikal jaun main khair mujh ko jo pukare kabhi bahar ki taraf apne andar ke har ek shar se nikal jaun main dil-e-yakta jo mera sath gawara hi nahin ruh ban kar tere paikar se nikal jaun main jism zindan hi sahi soch magar bara-dari jis taraf chahun kisi dar se nikal jaun main