dil par sitam hazar kare bewafa ke lab

dil par sitam hazar kare bewafa ke lab
barchhi kabhi katar lage dilruba ke lab

guft-o-shunid mein bade bebak hain magar
dekha mujhe to khul na sake lab-kusha ke lab

guftar-o-an-ban ka aalam na puchhiye
khush-rang-o-jaan-faza hain mere ham-nawa ke lab

ho jae pal mein khak wo jis ko ye chum len
jalte hue sharare hain jaan-e-ada ke lab

bosa liya to husn ne sharma ke yun kaha
raushan kiye hain aap ne mehr-o-wafa ke lab

masumiyat to dekhiye baad-e-shab-e-zifaf
mashuq shikwa-sanj hua hai dikha ke lab

baghon se hum jo guzre to phulon ne di sada
kitne hasin hain 'shad' teri dilruba ke lab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close