chashm-e-ulfat ajib hoti hai mujh se har shai qarib hoti hai baat jab badh gai mohabbat mein apni hasti raqib hoti hai jis ko chahe na koi duniya mein us ki duniya ajib hoti hai aisa hota hai yaad kuchh bhi nahin yun bhi yaad-e-habib hoti hai samne wo hon aur baat na ho wo ghadi bad-nasib hoti hai un ki baaton se zakhm kha ke mujhe ek masarrat nasib hoti hai mujh ko jhuti tasalliyan to na do dil ki haalat ajib hoti hai qalb-e-sayyaad ke liye tufan fursat-e-andalib hoti hai hijr mein maut hi nahin 'shamsi' zindagi bhi qarib hoti hai