dida-e-shauq liye jazb-e-betab liye aaj to husn bhi hai ishq ke aadab liye chashm-e-makhmur liye kakul-e-shab-tab liye rashk-e-iman bhi hain wo kufr ke asbab liye un ke abru pe hain bal aur tabassum lab par mere afsana-e-hasti ka naya bab liye ab to ye haal hai dekhe hue muddat guzri koi guzra hi nahin khanda-e-shadab liye khwab kya chiz hai ab khwab ki tabir suno warna har dida-e-be-khwab hai ek khwab liye rah mein ab koi tufan koi sailab aae zindagi aaj hai khud fitrat-e-sailab liye