chashm-e-wahshat ye teri girya-o-zari kam hai gham ziyaada hai magar sina-figari kam hai itna chillaen ki qatil ki ragen phat jaen rone walo abhi aawaz hamari kam hai is liye badhti chali jati hai lashon ki qatar meri fursat ke liye zakhm-shumari kam hai chikhte hain badan-e-tifl se zakhmon ke nishan itni shamshiron mein shamshir tumhaari kam hai kyon nahin hota adu par mere hamlon ka asar hath halka hai ki talwar ye bhaari kam hai chappe chappe pe hai kuchli hui kaliyon ka lahu is gulistan ke liye baad-e-bahaari kam hai mere gham-khane ka mausam hai badalne wala hai rajaz-khwani fuzun nauha-nigari kam hai mere chehre se na andaza lagana ki ye umr mujh pe biti hai bahut main ne guzari kam hai rakhsh-e-jaan mujh ko qayamat ka safar hai darpesh is masafat ko faqat ek sawari kam hai qafila kuch ko tayyar hai ghar ki jaanib sab hain maujud magar ek amari kam hai