kabhi KHak hue un qadmon ki kabhi dil ko bichha kar raqs kiya

kabhi khak hue un qadmon ki kabhi dil ko bichha kar raqs kiya
use dekha khud ko bhul gae lahra lahra kar raqs kiya

tere hijr ki aag mein jalte the hum angaron par chalte the
kabhi tapti ret pe nache hum kabhi khud ko jala kar raqs kiya

kya khub maza tha jine mein ek zakhm chhupa tha sine mein
us zakhm ko khurcha nakhun se aur khun baha kar raqs kiya

wo jab na mila mehrabon mein jise dhund rahe the khwabon mein
sajde se uthaya sar apna aur hath utha kar raqs kiya

kabhi thamti hai kabhi chadhti hai meri masti ghatti badhti hai
kabhi khamoshi kabhi jhum liye kabhi shor macha kar raqs kiya

sab basti jangal ho aae masti mein maqtal ho aae
wahan jang ladi khud se hum ne aur tegh chala kar raqs kiya

kahin mera khuda napaid nahin kisi khas jagah ki qaid nahin
tasbih padhi but-khane mein mehrab mein aa kar raqs kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close