chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna mil nahin sakta tujhe ab mujh se behtar aashna zarf tera mujh pe raushan ho gaya hai is tarah jis tarah qatre se hota hai samundar aashna tutna taqdir us ki todna us ka khamir ghair mumkin hai na ho shishe se patthar aashna har tarah ke phul hain dil ki zamin par dekhiye kis tarah kah dun nahin sine se khanjar aashna main ne chattanon pe gul-bute tarashe hain bahut aap ki nazren bhi hotin kash manzar-ashna jaanta hun kaun kya hai aap kyun den mashwara main luteron se bhi waqif aur rahbar-ashna