apne hi khun se is tarah adawat mat kar zinda rahna hai to sanson se baghawat mat kar sikh le pahle ujalon ki hifazat karna shama bujh jae to aandhi se shikayat mat kar sar ki bazar-e-siyasat mein nahin hai qimat sar pe jab taj nahin hai to hukumat mat kar khwab ho jam ho tara ho ki mahbub ka dil tutne wali kisi shai se mohabbat mat kar dekh phir dast-e-zarurat mein na bik jae zamir zar ke badle mein usulon ki tijarat mat kar pursish-e-haal se ho jaenge phir zakhm hare is se behtar hai yahi meri ayaadat mat kar sar jhukane ko hi sajda nahin kahte 'dana' jis mein dil bhi na jhuke aisi ibaadat mat kar