chaunk uttha hun tere lams ke ehsas ke sath aa gaya hun kisi sahra mein nai pyas ke sath tab bhi masruf-e-safar tha main abhi ki manind ye alag baat ki chalta tha kisi aas ke sath dhundhta hun main koi tark-e-talluq ka jawaz ab guzara nahin mumkin dil-e-hassas ke sath ho raha hai asar-andaz meri khushiyon par umr ka rishta-e-derina jo hai yas ke sath jism ke shish-mahal ki hai yahi umr janab jab talak nibhti rahe tesha-e-anfas ke sath