kar chuka qaid se jis waqt ki aazad mujhe hath malta hi raha dekh ke sayyaad mujhe umr bhar yun to kabhi li bhi na karwat pas-e-marg haif rah-rah ke kiya karte hain ab yaad mujhe hukm darban ko hai zinhaar na aane pae ghair ke samne karte hain magar yaad mujhe baghban gulshan-e-alam ka main wo bulbul hun taer-e-sidra kaha karta hai ustad mujhe ham-safiron ko mera haal khulega pas-e-marg dekhna dil mein karenge wo bahut yaad mujhe sahn-e-gulshan mein mere phul karenge gulchin roega suna qafas dekh ke sayyaad mujhe rah-e-ulfat mein mulaqat hui kis kis se dasht mein qais mila koh mein farhad mujhe ghaib se hote hain ilqa mere dil mein mazmun dekh faizan sukhan ka hai khuda-dad mujhe sabz bagh aata hai duniya ka nazar jab 'rana' yaad aati hai bahut hasrat-e-shaddad mujhe