chehra-e-subh nazar aaya rukh-e-sham ke baad sab ko pahchan liya gardish-e-ayyam ke baad mil gai rah-e-yaqin manzil-e-auham ke baad jalwe hi jalwe nazar aae dar-o-baam ke baad chahiye ahl-e-mohabbat ko ki diwana banen koi ilzam na aaega is ilzam ke baad imtehan-e-talb-e-kham liya saqi ne jam-e-lab-rez diya durd-e-tah-e-jam ke baad hae kya chiz hai ye lutf-e-shikasta-pai hausle aur badhe koshish-e-nakaam ke baad zindagi nam hai ek johd-e-musalsal ka 'fana' rah-rau aur bhi thak jata hai aaram ke baad