phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas phir ek jam ki barja hon jis se hosh hawas hazar rang sahi par nahin zara bu-bas hawa-e-sahn-e-chaman hum ko aae kaise ras sitare ab bhi chamakte hain aasman pe magar nahin hain shomi-e-qismat se hum sitara-shanas khile hain phul hazaron chaman ke daman par nawa-garan-e-chaman ko magar nahin ehsas dil-o-jigar mein murawwat se pad gae nasur hamein nahin hai magar us ke phal se phir bhi yas ghire hue hain agar barq-o-baad-o-baran mein to kya hua ki kinare ki hai abhi tak aas junun ko apne chhupaen to kis tarah yaro ki tar tar hai is shaghl-e-pak ka akkas jo bewafai-e-gul se shikasta-khatir ho use batao ki hai ba-wafa-tar us se ghas main is sharab-e-mohabbat se tang hun 'arshi' ki jitna pijie badhti hai aur utni pyas