chehra-e-zindagi nikhar aaya jab kabhi hum ne jam chhalkaya sham-e-hijran bhi ek qayamat thi aap aae to mujh ko yaad aaya rang phika pada wafaon ka aaj kuchh is tarah wo sharmaya yun to be-chainiyan muqaddar thin teri qurbat ne aur tadpaya kya qayamat wo kam-nigahi thi har haqiqat ko jis ne jhuthlaya kya hui wo dilon ki masumi husn rutha na ishq pachhtaya hae kis kis maqam par dil ko us uchatti nazar ne bhatkaya khud-shanasi thi justuju teri tujh ko dhunda to aap ko paya 'naqsh' aankhon mein aa gae aansu aaj aise mein kaun yaad aaya