husn ki jins kharidar liye phirti hai sath bazar ka bazar liye phirti hai dar-ba-dar hasrat-e-dildar liye phirti hai sar-e-har-kucha-o-bazar liye phirti hai adam-abaad mein aane ka sabab hai zahir justuju-e-kamar-e-yar liye phirti hai dil-e-sozan se nahin koi nishan-e-zulmat mashal-e-ah-e-shab-e-tar liye phirti hai aate hi fasl-e-khizan bulbul-e-shaida bahki har taraf gul ki jagah khar liye phirti hai dair o masjid mein tamann-e-ziyarat kis ki tum ko ai kafir o din-dar liye phirti hai dasht mein qais ko kya aae nazar jab laila sath mein gard ki diwar liye phirti hai daur-e-saghar mein nahin kaf sar-e-baada saqi dukht-e-raz shaikh ki dastar liye phirti hai khun-e-farhad se bechain hai ruh-e-shirin be-sutun se bhi giran-bar liye phirti hai gul se kyun kah nahin deti hai payam-e-bulbul apne sar baad-e-saba bar liye phirti hai manta hi nahin laila ki kare kya laila sath mein qais ko na-chaar liye phirti hai sadma pahuncha kisi gul ko ki chaman mein bulbul khun mein dubi hui minqar liye phirti hai kushta-e-naz ki turbat na milegi bulbul phul minqar mein be-kar liye phirti hai tair-e-dil ko hawa-e-kham-e-zulf-e-sayyaad surat-e-murgh-e-giraftar liye phirti hai jumbishe-e-pa se hai galiyon mein qayamat barpa sath mahshar teri raftar liye phirti hai kohkan khud to subuk-dosh hua, par shirin sar pe ilzam ka kohsar liye phirti hai dasht-e-ghurbat mein nahin phirta hun khud aawara gardish-e-charkh-e-sitamgar liye phirti hai sath duniya ka nahin talib-e-duniya dete apne kutton ko ye murdar liye phirti hai hasrat-e-did 'asar' hazrat-e-'atish' ki tarah pesh-e-rauzan pas-e-diwar liye phirti hai