chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat

chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat
baaten un ki subhan-allah goya quran ki aayat

rukh ka jalwa pinhan rakkha paida kar ke makhluqat
husn-e-zahir sab ne dekha kis ne dekha husn-e-zat

jazbe ki sab garmi sardi bahte ashkon ki barsat
hum ne sare mausam dekhe hum par guzre sab haalat

gham ki sari chaalen gahri bachte bachte aakhir-kar
dekha is bechaare dil ne bebas ho kar khai mat

jite-ji kab duniya puchhe marte hi is darja pyar
hathon-hath uthae duniya lae ashkon ki saughat

husn-e-khud-bin jis ki fitrat shekhi shokhi zulm-o-jaur
dam-e-ulfat mein phans jae meri aankhon dekhi baat

umr-e-payan ki manzil mein ahd-e-mazi aae yaad
ab bhi 'nazar' mein raqsan mere bhule bachpan ke lamhat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close