KHayal-o-KHwab tak taza rahenge jo bhi hoga

khayal-o-khwab tak taza rahenge jo bhi hoga
jiyenge aur teri khatir marenge jo bhi hoga

teri naraazgi bhi khatm karni hai abhi to
tamasha sadh kar joker banenge jo bhi hoga

tumhaare bin guzara hai to mushkil yar phir bhi
kisi surat bhi lekin hum karenge jo bhi hoga

teri yaadon ke jalte dip hain in taqchon mein
diyon ko har ghadi raushan rakhenge jo bhi hoga

mohabbat ke nahin ye aashiqi ke din par hain
ye dariya aise hi ulte bahenge jo bhi hoga

ye marna marna waise laga rahna hai hum mein
watan par jaan hum de kar marenge jo bhi hoga

suna hai 'kaamil' aaya hai abhi dasht-e-junun se
chalo hum bhi use milne chalenge jo bhi hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close