chehre ko bahaal kar raha hun duniya ka khayal kar raha hun ek kar-e-muhaal kar raha hun zinda hun kamal kar raha hun wo gham jo abhi mile nahin hain main un ka malal kar raha hun ashaar bhi dawat-e-amal hain taqlid-e-bilal kar raha hun taswir ko aaina bana kar tashrih-e-jamal kar raha hun chehre pe jawab chahta hun aankhon se sawal kar raha hun kuchh bhi nahin dastaras mein 'sarshaar' kyun fikr-e-maal kar raha hun