chehre pe kisi karb ki tanwir nahin ki mahsus hi karte rahe tafsir nahin ki qadmon ko haqiqat ki zamin par hi dhara hai khush-fahmi ki jannat kabhi tamir nahin ki waiz ke kabhi naqsh-e-qadam par na chale hum khud kar ke dikhaya kabhi taqrir nahin ki masum charaghon ko hawaon ne bujhaya kyon bhadke hue shoalon pe tazir nahin ki us ki hi kahi baat ko duniya ne nawaza jis ne kabhi izhaar mein takhir nahin ki kis tarah zamane ko khabar ho gai is ki wo baat jo ashaar mein tahrir nahin ki kuchh khwab jo mearaj the hasti ke 'tabassum' un khwabon ki maili kabhi tabir nahin ki