ye jo tum dekh rahe ho khas-o-khashak pe khak is se badh kar hai meri khwahish-e-sad-chaak pe khak gar koi khwab nahin hai meri aankhon mein to phir mere saman pe hasrat meri imlak pe khak main ne udne hi nahin di hai rah-e-ishq mein gard main ne padne hi nahin di teri poshak pe khak nisbat-e-khak pe sharmindagi kyon ho mujh ko dastaken deti hai ja kar dar-e-laulak pe khak ye jo takhsis-e-zan-o-mard hai ye wahm hai bas tum mujhe dekhna jab pahunche meri chaak pe khak ye jo hai aadmi ka azm-e-safar is ke tufail nazar aaegi kisi din rah-e-aflak pe khak yun bhi tum kya ho faqat khak 'tabassum' bibi aur phir baithni hai aa ke kal is khak pe khak