chehre pe koi rang shikayat ka nahin tha lekin wo tabassum hi mohabbat ka nahin tha chhoda bhi mujhe aur bahut khush bhi rahe ho afsos ke main aap ki aadat ka nahin tha waqton ke siyah rang se zarron pe likha hai duniya mein koi daur sharafat ka nahin tha ab sar ko patakne se koi faiz nahin hai marne ka taqaza tha wo hijrat ka nahin tha darbar bhi tha sahab-e-kirdar bhi lekin adna sa koi jazb-e-sakhawat ka nahin tha