aankh mein aansu nahin shabnam nahin kuchh gham nahin zakhm hain jin par koi marham nahin kuchh gham nahin dard wo de kar musalsal haalat-e-dil puchhte hain ye inayat bhi to un ki kam nahin kuchh gham nahin raat ka pichhla pahar hai aur hum khana-ba-dosh koi dar-diwar ka matam nahin kuchh gham nahin har taraf hain khun se rangin kapde aur tan ye hamare shauq ka aalam nahin kuchh gham nahin sab dare sahme hue se gum hain apne aap mein har koi shamil hai is mein hum nahin kuchh gham nahin