chehre pe na ye naqab dekha parde mein tha aaftab dekha kyun kar na bikun main hath us ke yusuf ki tarah main khwab dekha kuchh main hi nahin hun, ek aalam us ke liye yan kharab dekha dil tu ne abas likha tha nama jo un ne diya jawab dekha be-jurm o gunah qatl-e-ashiq mazhab mein tere sawab dekha kuchh howe to ho adam mein rahat hasti mein to hum azab dekha jis chashm ne mujh taraf nazar ki us chashm ko main pur-ab dekha hairan wo tere ishq mein hai yan hum ne jo shaikh o shab dekha bhula hai wo dil se lutf us ka 'sauda' ne ye jab itab dekha
Please share if you liked this!!!