chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai uljhan ghutan hiras tapish karb intishaar wo bhid hai ke sans bhi lena muhaal hai aawargi ka haq hai hawaon ko shahr mein ghar se charagh le ke nikalna muhaal hai be-chehragi ki bhid mein gum hai har ek wajud aaina puchhta hai kahan khadd-o-khal hai jin mein ye wasf ho ki chhupa len har ek dagh un aainon ki aaj badi dekh-bhaal hai parchhaiyan qadon se bhi aage nikal gain suraj ke dub jaane ka ab ehtimal hai kashkol-e-chashm le ke phiro tum na dar-ba-dar 'manzur' qaht-e-jins-e-wafa ka ye sal hai