log aae hi nahin mujh ko mayassar aise jo mujhe kahte ki aise nahin 'azbar' aise jaisa main hun mere chehre ki hansi jaisi hai ghaur se dekh ki hote nahin joker aise tez dauda ke achanak meri rassi khinchi us ne samjhaya mujhe lagti hai thokar aise aankh khulne pe jo uthta hun to chakraata hun kaun deta hai mujhe khwab mein chakkar aise zulf aisi ke siyah reshmi jangal koi nain us shakhs ke hain surmai marmar aise koi to hota jo sine se laga kar kahta baat thi baat ko lete nahin dil par aise kis ne socha tha ki kamron mein faqat chup hogi kis ne socha tha ki guzrega september aise hae aakhir mein wahi hadisa pesh aaya 'safir' hamein kahna pada likkhe the muqaddar aise