chehron pe KHamushi ki lau ruh se ham-kalam hain

chehron pe khamushi ki lau ruh se ham-kalam hain
yani jo gharq-e-ishq hain un ko mere salam hain

khalwat-e-dil tere liye aaungi jald laut ke
milne ko aae mehman ghar ke do chaar kaam hain

kaise hain mere aqraba kaisi hun main pata nahin
baaten hain khud se raat din bhule tamam nam hain

roz-e-azal se hain juda aql-o-junun ke raste
yani tere khayal mein donon ke ek dam hain

ishq ki awwalin shart hai kucha-e-yar se nikal
hosh se be-niyaz ho bhul ja subh-o-sham hain

kar-e-firaq-o-hijr to ujlat ka kaam hi nahin
lamhe tere khayal ke tujh se bhi tez-gam hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close