be-shak apne zebai par usko naz rahe

be-shak apne zebai par us ko naz rahe
lekin sham sawere yaad aane se baz rahe

ek muqaddas hasti ne ek roz dua ye ki
rab ki rahmat se duniya mein tu mumtaz rahe

qatra qatra duri de kar jis ne mar diya
apnon jaise us dushman ki umr daraaz rahe

us ka dhyan kabhi na bhule dil mein ho har pal
soch usi ko sochti jae narm gudaz rahe

ek qadam ke sath pe us ki laraz gai aawaz
sat janam tak hum jis jhute ki aawaz rahe

duniya us ke sath ho lekin us ke dil mein hum
sare jag mein hum ko hasil ye eajaz rahe

us ne dekha khush ho ke aaina tod diya
barson apne aap se lekin hum naraaz rahe

kabhi nahin aaya wo kah kar us ko jaanti hun
jhuti aas ke us ke pas hamesh jawaz rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close