chehron pe zar-posh andhere phaile hain ab jine ke dhang bade hi mahnge hain hathon mein suraj le kar kyun phirte hain is basti mein ab dida-war kitne hain qadron ki shab-rezi par hairani kyun zehnon mein ab kale suraj palte hain har bhare jangal kat kar ab shahr hue banjare ki aankhon mein sannate hain phulon wale tapu to gharqab hue aag agle nae jazire ubhre hain us ke bosida-kapdon par mat jao mast qalandar ki jholi mein hire hain zikr karo ho mujh se kya tughyani ka sahil par hi apne rain basere hain is wadi ka to dastur nirala hai phul saron par kankar patthar dhote hain 'amabar' lakh sawa pankhi mausam aaen olon ki zad mein anmol parinde hain