baat kuchh bhi na thi fasana hua meri ruswai ka bahana hua thi ye khwahish kahenge sab kuchh hum un ke aage to lab bhi wa na hua roz aati hai ek nai aafat dil mera jab se aashiqana hua kyun tadapta hai phir dil-e-muztar kis bala ka ye phir nishana hua tu ne chhoda hai sath jab se nadim hae dushman mera zamana hua mar hi jaana tha hum ko to ek roz un ki furqat magar bahana hua aaj kahte hain bandh kar gathri gham ki 'maghmum' phir rawana hua