chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal ab ke sawan bhi gaya mujh pe na barsa baadal sip bujhte hue suraj ki taraf dekhte hain kaisi barsat meri jaan kahan ka baadal wo bhi din the ki tapakta tha chhaton se pahron ab ke pal bhar bhi munderon pe na thahra baadal farsh par gir ke bikharta raha pare ki tarah sabz baghon mein mere baad na jhula baadal lakh chaha na mili pyar ki pyasi aaghosh ghar ki diwar se sar phod ke roya baadal aaj ki shab bhi jahannam mein sulagte hi kati aaj ki shab bhi to botal se na chhalka baadal