ho koi masala apna dua par chhod dete hain use khud hal nahin karne khuda par chhod dete hain tumhaari yaad ke baadal baraste hain kahan aakhir chalo ye silsila kali ghata par chhod dete hain use sar par bithae dar-ba-dar phirte rahen kab tak ghutan ka bojh hum dosh-e-hawa par chhod dete hain na tum manoge sachchai na hum se jhut sambhlega haqiqat kya hai hum ahl-e-safa par chhod dete hain khilenge zakhm sine mein ki jazbon ki numu hogi jo kal hoga use kal ki ada par chhod dete hain talluq tum se jo bhi hai nahin malum kal kya ho chalo ye faisla apna khuda par chhod dete hain