chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin nigah-e-nargis-e-rana tera jawab nahin zamin jag rahi hai ki inqalab hai kal wo raat hai koi zarra bhi mahw-e-khwab nahin hayat-e-dard hui ja rahi hai kya hoga ab is nazar ki duaen bhi mustajab nahin zamin us ki falak us ka kaenat us ki kuchh aisa ishq tera khanuman-kharab nahin abhi kuchh aur ho insan ka lahu pani abhi hayat ke chehre par aab-o-tab nahin jahan ke bab mein tar damanon ka qaul ye hai ye mauj marta dariya koi sarab nahin dikha to deti hai behtar hayat ke sapne kharab ho ke bhi ye zindagi kharab nahin