taghayyuraat se kab rabt-e-gulsitan na raha bahaar aai to kya khatra-e-khizan na raha jabin jhukai to jannat kharid li jaise samajh rahe hain ki ab koi imtihan na raha faza mein gunj rahi hain kahaniyan gham ki hamin ko hausla-e-sharh-e-dastan na raha unhen to hashr mein bhi hai khayal-e-ruswai hamein khushi hai koi parda darmiyan na raha gham-e-maal gham-e-zindagi gham-e-dauran hamare ishq ka charcha kahan kahan na raha hawa palatte hi har zakhm ho gaya taza bahaar-e-ishq ko andesha-e-khizan na raha 'matin' qadr hui aah kab nasheman ki chaman mein barq ke laeq jab aashiyan na raha