chhanw afsos daimi na rahi dhup ka kya rahi rahi na rahi aasra chhin gaya hai jine ka aas thi jo rahi-sahi na rahi ho gaya khwab phul sa chehra shakh-e-dil bhi hari-bhari na rahi bah gae aansuon ke dariya mein aap ki baat yaad hi na rahi ek udasi thi raat thi hum the aur phir hajat-e-khushi na rahi mashwara jas ka tas raha lekin mashwaron ki kabhi kami na rahi waqia jo hua hua lekin dastan aap se judi na rahi un ilaqon mein kya raha sahib jin ilaqon mein shaeri na rahi ek tamanna thi teri mahfil mein kyun rahen hum agar wahi na rahi
Please share if you liked this!!!