chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya hasraton ki aaghosh mein palte ek zamana bit gaya aaj bhi hain wo sulge sulge tere lab o aariz ki tarah jin zakhmon par pankha jhalte ek zamana bit gaya main ab apna jism nahin hun sirf tumhaara saya hun mausam ki ye barf pighalte ek zamana bit gaya ab tak apne hath na aaya surmai chhanw ka daman bhi chandi jaisi dhup mein jalte ek zamana bit gaya waqt madari hai kya jaane khel apna kab khatm kare sanson ki is dor pe chalte ek zamana bit gaya zindagi aur lamhon ka taaqub jin ka koi or na chhor sadiyon sadiyon mod badalte ek zamana bit gaya ab bhi teri mehrab-e-sukhan mein shamen si raushan hain 'faza' suraj ko ye aag ugalte ek zamana bit gaya