chhat pe badli jhuki si rahti hai kab se barish thami si rahti hai koi shab dhup ki si kaifiyyat koi din chandni si rahti hai ek hasti meri anasir chaar har taraf se ghiri si rahti hai kaise ji-bhar ke dekhiye us ko dekhne mein kami si rahti hai koi ek zaiqa nahin milta gham mein shamil khushi si rahti hai jab se mail hue hain mere qadam rah mujh se khinchi si rahti hai ek na ek shaghl chahiye us ko mujh mein diwangi si rahti hai tir andhere mein jab chalata hun dhyan mein raushni si rahti hai shakh-e-ummid ko khizan na bahaar ye sab din hari si rahti hai ek khitte ke bojh se rahi sari duniya dabi si rahti hai