nae zamane ke nit-nae hadsat likhna udas phulon ki zard patton ki baat likhna falak darichon se jhankte khushnuma manazir zamin pe be-zariyon mein lipti hayat likhna thakan ka ehsas ho to kar lena yaad us ko adhure khwabon ki sar-phiri kaenat likhna siyahi kis ne bikher di kore kaghazon par ki ujle alfaz kha gae kaise mat likhna ye kaun us ki kahaniyan phir suna raha hai kahan se aai hai khushbuon ki baraat likhna andhere raste mein raushni ki sada se pahle ye kis ne kandhe pe rakh diya apna hat likhna ujale farda ke dhundhti hain thaki nigahen ye kin hisaron mein qaid hai apni zat likhna bhatak gai hai chahaar samton mein soch kyun kar ki zehn-o-dil par laga gaya kaun ghat likhna kalam tera fasurda chehron ka aaina ho tu apne ashaar mein har ek dil ki baat likhna use ye zid thi ki din ko likhun main raat 'anjum' mujhe na manzur tha kabhi din ko raat likhna