chhaten udi hain daraden paden makanon mein sitam ki ghas ugi hai nigar khanon mein lahu lahu tha badan us ka hath tute the hina hina wo pukari thi aastanon mein gharon mein aaj wo karb-o-bala ka manzar tha ki sahme sahme parinde the aashiyanon mein wo jin ke nam pe niklengi kal ki tabiren kiye hain khwab muqaffal wo qaid khanon mein wo jis ka war muassar tha zarb kari thi khada hua tha wo qatil bhi pasbanon mein zamin pe zulm bahut hai khuda se kah dete guzar hamara agar hota aasmanon mein