ruTh jaane ki aadaten na gain

ruth jaane ki aadaten na gain
dil jalane ki aadaten na gain

zakhm kha kar bhi tujh se nam tera
gungunane ki aadaten na gain

pyar se jo bhi mil gaya us ko
dukh sunane ki aadaten na gain

chand ki sharm se naqabon mein
munh chhupane ki aadaten na gain

do dilon ko ujad ke hansna
na zamane ki aadaten na gain

chand jaisa har ek hasin chehra
dil ko bhane ki aadaten na gain

bisiyon bar aazma ke hamein
aazmane ki aadaten na gain

raat ke pichhle pahar ai 'ayyaz'
ghar ko aane ki aadaten na gain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close